Saturday, February 01, 2020

Akela..!!!

Aaj me akela hun 
Sath mein mera saya hai,

Jo dost kabhi apne the
Unhone khoob sath nibhaya hai,

Jinse hum ladte jhagadte the
Unhone aaj hume ye sikhaya hai,

Ki hum to hue apne
Unhonne hame rasta dikhaya hai,

Ab tum dhundhlo apni disha
Ye sabak aaj sikhlaya hai,

Par hume to pahle hi pata tha ye sab
Aaj bas jo pakaya tha wo khaya hai,

Papa ne sahi kaha tha beta tujhe
Ye duniya kuch nahi ek mele ka saya hai,

Par mene nahi mani baat papa ki
Or papa ko bhi dhamkaya hai,

Socha tha mela hi to hai
Konsa usne hamein khaya hai,

Yah baat sun papa bhi bole thik hai,
Jesa tunee Chaha wo tune aaj tak paya he,

Lekin aaj mein unse sorry kehta hun
Jo baat nahi mani papa ki.
Ye duniya sach me bhi ek dikhava hai,
 
aksar me kehta tha papa se
ki ye dost hi mera saya hai,

par aakhir har gaya mein
or meri jeed unke aage,

kyunki maa baap k alawa
duniya ka sab kuch paraya hai.....

No comments:

Post a Comment